Friday, July 24, 2009

The ail of the magnoliopsid

Kabhi vo shaaakh dekhi hai tumnae jo paed nae apnae paet sae kaat kar fenk di thi?
Shaakh ko bimari thi.Paed ko laga wo bhi gal jaeyega.
Fir ek raat jab paed ko laga shaakh lambi taan, so rahi hai, usnae ussae khoon khinch liya.
Zakhm paed bhi hui.. ye nahi nahi usae dard nahi.Hai.
Apni hi shaakh ko kaat fenk paana har kisi kae bass ki baat kahan hai.
Badi tadhpi skaakh, par badkismat ko maut bhi na aayi.
Khaer kisi din tau aa hi jaegi.
Bas Skaakh ko gam hai tau paed ke goongaepan ka.
Usae umeed lekin paed sae hai fir bhi
mamta sae bhar aayega dil paed ka
aur uski maut ki dua mae do lafs kisi khuda ko kahega
aur vo aajad ho jaegi, firsae paed ki honae ko..

No comments: