Monday, June 23, 2008

Kitni baatein karti hun roj tumsae, pr ik baat poochna roj hi bhool jaati hun
Aadat hi si hai bhoolnae ki.
Sab ajeeb aadataun si ye bhi ajeeb hai
Sab bhool jaata hai, par dimag pe abhi bhi kahin chaapa tumhara number nahi dhultaa
Aur kuch nahi tau shayad ye tumnae pyar ki syaahi se likha hoga
Yaahan baarsat bhi har aaye din hoti hai
Par kuj sookhi si hain ye barssatein bhi… kuj nahi dho paati
Us din Pune ki sadkaun se, utartae hi, tumhari us constipated baarish ne baahaun mae bhar liya
Ik pal ko laga, tumhae mae aaj bhi yaad hun shayad kahin
Doosrae hi pal, kisi ko kaan pae phone lagaye suna
“Please don’t ever stop talking to me. I cant live without talking to you”
Laga jasae fitrat hi si ho is miiti ki ye, har kisi mae khookhli si haar jaati hai
Nakli baemayenae se shabd, har juban pae meethae sae chadae hain
Missal chaiye tau 5 mahinae baad jaakae tumhare paatae pe mil aaye
Shayad us sheher mae kuj baaki tha tumhara
Shayad niyati usi se milanae lae gaai thi
Bahana preet ka hi tha is baar bhi, lakir phir gayi thi bas rishtaun ki timelimit par bas
Aur kuj ye rishte hain,jo anaath bachaun se,umeed se ulat baat hi jottae rehtae hain
Jaanae kis khaalish se bharkar jeetae hain ye
Jaanae kyun inkae maa baap inhe paet mae hi maar nahi dete
Shayad us duniya me bhi abortion legal nahi hain
Bas yunhi ik chaand ki raat, steering wheel pae baithae bahar uchaal dete hain