Sunday, July 27, 2008

lutnae hi vala hai amber, kuch der aur taare tod lo
ugnae vala hai kyari mae fir nanha savera, kuch lamhe beeti raat ke jod lo
kilkariyan marengi kirnaen, aks se sharmaa ke oos muh faeregi
kai baigani aur kuch apni si khwabaun ki pulandiyan, aasmanaun ko furti se seedhiyaan naapnae lagengi
kismataun ka playground set hoga, maylae lagaengae muskurataun aur aahun ke
chundhiyaati rooshni mae ab kosengae konsae sitarun ko?
aaj suraj jaroor aayega tumhari khidki mae jhaanknae
takiyae pe pichli raat ki barsaat se khilae indradhanush ko sajanae
har rang ik sapna sach hoga, har rang tummae tumsa ho jaega
27 baras ke sab rukae lamhon ko nae navelae apnaun ke chaehraun vali ungliyan kalai se aaj utar jhatak hi dengi
ik thanda sa jhonkaa aayenga kuch fusfusanae, kaanaun mae
oonghtae rishtaun ki silan se , ik ik lapeta dhaaga tum aaj kor khinch ke vapis bin lena
khili dhoop hai palkon mae tau lage haath , sab sapnae, chhaan sukhaa ke samaet lena
zindgi se do lamhaat gale mil lena, bahut dinaun se usae bhi tumhara intezar hai.
Janamdin mubarak ho .