Hai nahi mere paas doolaton ke jahan,na hai rangeen mehfilon me shamilat ki saada,
jahan oodhe hua reshmi parde kai,gumnam huae dil ke kai khalishan jahan
na hai jam ki jaroorat, ki kuch bhulane aaye hain yahan,
vaqt guzarta nahi saath mae, ki tanha hone voh looogon me aayen hain
hai nahi laboon pe muskurahatain oodhne ki baebasi,
is dar se ki kahin seenae kae toofan,na ho jaain cheharae pe roshan.
hain mere paas to , chandd khavishain aur kuch ik aarman,
kuch meethi yaadain hain, kuch aashkon ki kahanian,
guzre kai zamanon ki jo peechae reh gayi hain ban neeshanian,
ab duniya ki aur kisi daulat ki hasrat bhi nahi,ki jab talakh pehlu me ho tum, hum bane rahainge kainaat me sabse ameer
ab bhi umar guzarne ko, teri yaadaon ka khazana hai,teri vafaaon ke mooti hain,chandi hai teri mohobbatoin ki,
yahi dil ki duniya ki daulat hai,jahan hamse fakir bhi huae hain shahainshah kai
No comments:
Post a Comment